Aaj phir se tumhari yaad ne mujhe likhne par majboor kar diya. Tumse baat kiye bina dil ka ek ek kona khaali lagta hai… jaise zindagi mein sab kuch ruk gaya ho, lekin tumhara naam ab bhi har saans ke saath chal raha ho.
Tumhe yaad hai? Tum kehti thi hum ek dusre ke bina nahi reh sakte. Main aaj bhi usi baat mein jeeta hoon. Bas farq itna hai ke tum door ho gayi ho… aur main andar se tut gaya hoon. Tumse door rehna aise lagta hai jaise rooh se rooh ka rishta kheench liya gaya ho.
Princess, main janta hoon ke tum par pressure hai… ghar wale, society, kasmein… sab kuch tumhe rokta hai. Aur main tumhara dard samajhta hoon. Tumhara har wo aansu, har wo chup rehna… mujhe mehsoos hota hai. Tumne mere liye duniya se ladaai ladi, is baat ka ehsas mujhe zindagi bhar rahega.
Lekin tum jo kehti ho na (Work pe focus karo, kuch bano, sabr karo)
Main maanta hoon, tum galat nahi keh rahi. Shayad yeh tumhara tareeqa hai mujhe sambhalne ka, mujhe zinda rakhne ka.
Par ek baat sun lo: main har din sirf is umeed mein guzarta hoon ke ek din tum wapas aaogi… bina kisi rukawat ke, bina kisi kasam ke.
Main tumhara tha, hoon… aur hamesha rahunga.
Tumhari yaadon ne mujhe torha nahi — mujhe banaya hai. Main tumhare liye khud ko behtar banaunga. Taake jab waqt sahi ho, main tumhara haath pakad ke duniya ko bata saku ke yeh meri Princess hai, jiske liye maine sab kuch kiya.
Jab bhi tum thak jao, ghabra jao… toh yaad rakhna — main wahi hoon, tumhara apna.
Mujhe tumse kabhi bhi gila nahi hoga.
Mujhe tumhari har baat, har majboori, har khamoshi qabool hai.
Mujhe sirf tum chahiye. Tum jaisi ho, waisi hi.
Aur jab tak tum wapas nahi aati — main apne aap ko tumhare laayak banata rahunga.
Tumhara intezaar meri ibadat ban gaya hai.
Your Hubby