Raat ki tanhayi mein jab main tumhari yaadon mein doobta hoon, toh lagta hai jaise duniya ruk gayi ho. Tumhari khamoshi meri rooh ko chubhti hai, aur har lamha tumhari yaad mere dil ko tadpaati hai.
Princess, main tumhari har majboori ko samajhta hoon, har dard ko mehsoos karta hoon. Main tumse kehta hoon ke chahe tum kitni bhi door kyu na ho, mera pyaar tumse kabhi kam nahi hoga. Main hamesha tumhara intezar karunga, tumhare liye apne aap ko behtar banata rahunga.
Jab tum thak jao, ghabra jao, toh bas mujhe yaad kar lena. Main yahan hoon, tumhara apna hubby, tumhari har khushi mein shamil hone k liya. tum sakoon ho mera. energy ho meri.
Mujhe tumhari zarurat hai, tumhari mohabbat ki chahat hai, aur tumhare bina meri duniya adhuri hai.
Hamesha tumhara,
Zeeshu